Kuch to ae yaar Elaaj-e-gham-e-tanhai ho
Baat itni bhi na barh jay keh ruswai ho
Jis ne mujh ko tamasha sa bana rakha hai
Ab zaroori hai wohi aankh tmashai ho
Doobnay wale to aankhon se bhi kab nikaltay hain
Doobnay kay liye lazam nahin gehraai ho
Main tujhay jeet bhi tohfay main nahin de sakta
Chahata yeh bhi nahin hon teri paspai ho
Koi anjaan na ho shaher-e-mohabbat ka makeen
Kaash her dil ki her ik dil se shnasai ho
Aaj to bazam main her aankh thi pur'nam jaisay
Daastaan meri kisi ne yahan dohraai ho
Youn guzar jata hai mohsin teray koochay se woh
Tera wakif na ho jaisay koi sodaai ho
No comments:
Post a Comment