Libaas-e-khaak sahi kahin zaroor hoon main
Bata rahi hai chamak aankh ki keh noor hoon main
Koi nahin jo meri loo se rasta dekhay
Hawa-e-tund bhujha de teray hazoor hoon main
Pannah deta nahin koi aur siyaara
Bhatak raha hoon khal'la main zameen se door hoon main
Na ho keh gir ky kahin tu bhi khaak main mil jaye
Mujhay galay se laga ly tera gharoor hoon main
Nikal para hoon youn hi itni baraf'bari main
Badan ky garam lahoo ka ajab saroor hoon main
Saza bhi kaat chuka hoon jis khata ki aks
Kissay pukaroon kahoon is main be'qasoor hoon main
No comments:
Post a Comment