Jun 28, 2014

Main ehwaal-e-dil mar gaya kehtay kehtay


Main ehwaal-e-dil mar gaya kehtay kehtay 
Thakay tum na bas, bas, suna kehtay kehtay 

Mujhe chup lagi muddaton kehtay kehtay 
Rukay hain woh jane kiya kehtay kehtay 

Zabaan gang hai ishq main goosh kar nahin 
Bura suntay suntay bhala kehtay kehtay 

Shab-e-hijar  main kiya hajoom-e-balaa hai 
Zubaan thak gayi mehrbaan kehtay kehtay 

Gila harza  gardi ka beja na tha kuch 
Woh kiyon muskuraye baja kehtay kehtay 

Sad afsoos jalti rahi wasal ki shab 
Zara tehar ae be'wafa kehtay kehtay 

Chale tum kahan main ne to dam liya tha 
Fasana dil-e-zaar ka kehtay kehtay 

Sitam haye ! Gardoon Mufasil na ponchay 
Keh sar phir gaya majra kehtay kehtay 

Nahin ya sanam Imran ab kuffar se kuch 
Keh khoo ho gayi hai sada kehtay kehtay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...