Main khyal hon kisi aur ka
Mujhay sochta koi hai
Sar-e-aaina mear aks hai
Pas-e-aaina koi aur hai
Main kisi ky dast-e-talab main hoon
Tu kisi ky harf-e-dua main hai
Main naseeb hon kisi aur ka
Mujhay maangta koi aur hai
Ajab aaitabaar-o-be'aitabari
Ky darmiyaan hai zindagi
Main qareeb hon kisi aur ky
Mujhay janta koi aur hai
Mujhay doston ka pata nahin
Mujhay dushmano ki khabar nahin
Meri dastaan koi aur hai
Mera waqiya koi aur hai
Jo milein kabhi unhain poochna
Dekhna unhain ghour se
Jinhain rastay main khabar thi
Keh yeh raasta koi aur hai
Jo meri riayzat-e-neem shab
Ko saleem subha na mil saki
To is ky ma'anay to yeh huwa
Keh yahan khuda koi hai
No comments:
Post a Comment