Jun 2, 2014

main woh kis tarah se karon biyaan , jo kiyea gaye hain sitam yahan


Meri zaat zrah-e-be'nishaan

main woh kis tarah se karon biyaan , jo kiyea gaye hain sitam yahan

sunay kon meri yeh daastaan , koi ham'nasheen hai na raaz'daan

jo tha jhoot woh bana sach yahan , nahin kholi main ne magar zubaan

yeh akela pan , yeh udasiyaan , meri zindagi ki hain tar'jumaan 

kabhi soi subha main ghoomna , kabhi ujrri shamon ko dekhna

kabhi bheegi aankhon se jaagna , kabhi beetay lamhon ko sochna 

magar ik pal hai umeed ka , hai mujhay khuda ka jo asara

na hi main ne koi gila kiya , na hi main ne dein hain dohayein 

main batayon kiya mujhay kiya milay, mujhay sabar hi ka sila milay

kisi aada'hei karda milay , kisi dard hi ka sira milay

kisi gham ki dil main jaga milay , jo mera hai woh mujhay aa milay 

rahay shaad youn hi mera jahan , keh yaqeen main badlay mera gumaan

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...