Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana
Sunata raha dam nikalty nikalty
Magar zikar-e-shaam-e-alam jab keh aya
Chraagh-e-sehar bujh gaya jalty jalty
Irada tha tark-e-mohabbat ka lakin
Faraib-e-mohabbat main phirr aa gaye hum
Abhi kha ky thokar sambhlney na paaye
Keh phir khaye thokar sambhlty sambhlty
Unhain khat main likha tha dil muztarib hai
Jawaab us ka aya mohabbat na kartay
Tumhain dil laganey ko kis ne kaha tha
Behal jaye ga dil behalty behalty
Woh mehmaan rahain bhi to kab tak hamaray
Hui shamma gul aur doobay taaray
Faysal is qadar un ko jaldi thi ghar ki
Woh ghar chal diye chandani dhaltay dhaltay
No comments:
Post a Comment