Masoom hai woh kitni
Waqif nahin ulfat se
Kya dard-e-mohabbat hai
Kya dard-e-judaai hai
Aahon ka fasana kya ?
Ashkon ki kahani kya ?
Furqat ki ghataon main
Ulfat ki adaon main
Is wadi-e-tanha main
Lehraati hui cheekhein
Kar deti hain paida
Harkat si sitaron main
Masoom hai woh kitni
Waqif nahin ulfat se
Agaah ussay kar doon
Khamosh mohabbat se
Aur aankhon hi aankhon main
Us shokh ko samjha doon
Gehraiyon main dil ki
Jo saaz hai posheeda
YEh raaz ussay keh doon
Ik baat ussay keh doon
Honton ki khamoshi se
Lakin yeh musibat hai
Is aag se ulfat ki
Jal jaye na dil us ka
Nanha sa namoona hai
Ik mehar-o-wafa ka
Hum us ki karein pooja
Masoom hi achi hai
Masoom hi rehnay do
No comments:
Post a Comment