Jun 1, 2014

Meray dil se aakhir kyn teri yadain nahin jatein


Meray dil se aakhir kyn teri yadain nahin jatein
tujhay bhoolney ki koshis kyn na'kaan hoti hai
lagta hai keh tu sama gayi meray jism-o-jaan main ab 
na tujh bin din guzarta hai n ameri shaam hoti hai

teray milney se pehlay aisa to bilkul nahin tha main
teray baad phir kyn aisi halat ho gayi aakhir
aisa tujh main kiya hai jo main hoon is qadar be'chain
kyn ik be'wafa ki itni chahat ho gayi aakhir

bhout sochney par meray dil se ik awaz ai hai 
tu hai shid'dat pasand aur yeh jahan harjai hai 
us ne mohabbat ke badlay diye hain sirf zakham tujh ko
tu ne zakham kha kar bhi us se ulfat nibhai hai 

ajab duniya hai is ko mohabbat ka saliqa nahin hai 
hazaron shai hain is main lakin kyn wafa nahin hai
lagi jab thokar mohabbat main tab hum ne yeh jana 
kisi bhi cheez main had se barhna acha nahin hai 

Meray dil se aakhir teri yadain nahin jatein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...