Jun 8, 2014

Meray naseeb ka yeh almiya bhi kaisa hai

Meray naseeb ka yeh almiya bhi kaisa hai 
Keh jis se pyaar karo ajnabi nikalta hai 

Kahin se shaam utarti hai  , kahin se din yeh charhta hai
Kahan se roz yeh suraj bhala ugalta hai 

Koi to ho kahoon yah mera sathi hai 
Meray mizaaj ki sab uljhanain samjh ta hai 

Kisi ka gham hi to karta hai kho'kla is ko 
Shajar wajood ka aisay to kab ujarta hai 

Milay kushi bhi agar yeh to kush nahin  hota 
Milay ho zakham to yeh dil bara chhikta hai

Woh jis ne beech bhanwar main akela chora tha 
Yeh dil aaj bhi is kay liye mach'chalta hai

Hamhi se door woh rehta hai dushman-e-jaan 
Wagarn abaat sabhi se woh hans kar karta hai 

Kiya tha tu ne kabhi jis main aaitraaf-e-wafa
Woh khat to main ne aaj bhi sambhaal rakha hai 

Hajoom sath ho phir bhi woh khoya rehta hai 
Suna hai shaher main Mojood sa ik tanha hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...