Jun 27, 2014

Mohabbat rang badalti hai


Mohabbat rang badalti hai 
Aur is ka koi bhi rang mustaqil 
Pukhta nahin hota 
Naveed-e-sehar ki koi 
Daleel-e-be'kraan jaisay 
Kisi mushkil safar main 
Qaafla ik be'imaan jaisay 
Kabhi hairaan se lehjay 
Koi dil bad'gumaan jaisay 
Jhulasti dhoop main saaye 
Shajar-e-meharbaan jaisay 
Kabhi na rukney wala zindagi ka karwaan jaisay 
Koi rangeen si 
Sangeen si 
Ik daastaan jaisay 
Mohabbat ibtida main baal kholay muskuraati hai 
Kabhi nazam main 
Her shair main 
Her ista'aaray main 
Ghataon ki tarah ghir ghir ky aati hai aur barasti hai 
Kabhi sehra ki man'nind 
Chand boondon ko tarasti hai 
Kabhi ik bul'bulay ki tarah 
Pal do pal ko  hansati hai 
Kabhi sadion talak 
Dil ki nihaan khaano main basti hai 
Kabhi khurd ky andeshay 
Kabhi hans hans ky roti hai
KAbhi ro ro ky hansti hai 
Mohabbat aadmi ki zindagi ka dhang badalti hai 
Mohabbat khud rang badalti hai
Mohabbat rang badalti hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...