Mohabbat zaat hoti hai
Mohabbat zaat hoti hai
Mohabbat zaat ki takmeel hoti hai
Koi jungle main jaa tehray , kisi basti main bas jaye
Mohabbat saath hoti hai
Mohabbat khushbo'on kay liye
Mohabbat mousamon ka dhun
Mohabbat aabshaaron kay nikhartay paaniyon ka mann
Mohabbat junglon main raqs karti morni ka tan
Mohabbat chilchalaatay garam sehraaon main thandi chayon ki maanind
Mohabbat ajnabi duniya main apnay gaaon ki maanind
Mohabbat dil
Mohabbat jaan
Mohabbat rooh ka darmaan
Mohabbat moorti hai
Aur kabhi jo dil kay mandir main kahin par toot jaye to
Mohabbat kaanch ki guriya
Fizaon main kisi kay haath se gar choot jaye to
Mohabbat aabla hai karb ka
Aur phoot jaye to
Mohabbat rog hoti hai
Mohabbat sog hoti hai
Mohabbat shaam hoti hai
Mohabbat raat hoti hai
Mohabbat jhil'milaati aankh main barsaat hoti hai
Mohabbat neend ki rut main haseen khwaabon kay raaston par
Sulagtay
Jaan ko aatay rat'jagon ki ghaat hoti hai
Mohabbat jeet hoti hai
Mohabbat maat hoti hai
Mohabbat zaat hoti hai
No comments:
Post a Comment