Mujhay na dil se nikaalna tum
Shafaq ki chilman se
Roshni ki haseen kirnein
Tumharay rukh ki taraf barhi hain
Zara nazar ko sambhalna tum
Sehar kay aangan main
Ho gayi hai saba ki masti
Gulon kay naqs-o-nigaar
Rangat badal rahay hain
Mujhay na dil se nikaalna tum
Yeh zard rut ka moheet saya
Kahin na ehsaas ko kuchal de
Andheri shab par sawar hai
Meri soch ka be'chragh ujaala
Lahu ki barsat main ho kaisay
Amar mohabbat
Main zard patton ki tarah bikhra para hoon
Bahar ki aarzoo main
Meray badan ki laali
Siyah shab main badal gayi hai
Falak se koi sitara laa kar
Meri nazar ko ujaalna tum
Mujhay na dil se nikaalna tum
No comments:
Post a Comment