Mujhay tum se mohabbat ho gayi thi
Kiya tum apnay akelay pan ka dukh le kar
Meray raastay main aye thay
Tumhari aankh se tanhai ka izhaar behta tha
To main ne tum ko un chaheron ki qurbat bakhsh di
Aisay manzar tum pe roshan kar diye
Jin par barsaat naaz karney ky bahanay dhoondti hai
Tumhari guftagoo mayoos sanaton ka jungle thi
So main ne tum ko aisi mehfalon main awaleen saf main bithaya
Aisay logon se milaya
Jahan honton ki jumbash no'jawaan qisson main dhalti hai
Qeh'qahon ki rasam chalti hai
Tumhain apni sama'aat se bhi shikwa tha
Keh tum ne nagmagi ky din nahin dekhay
Harf ko awaaz ke pehloo main khwabeeda nahin paya
So main bhi gungunaati subha ki manind lehjon ko
Tumharay zouq ki mehroom khilwat main bula laya
Kai ras gholti shamain
Tumharo rooh main bai'daar kar daalein
Magar hona wohi tha
Jo ta'aluq jorney walo ka daereena muqadar hai
Guzishta raat tum ne mujh ko be'masraf samjh kar
Apney hangamon ki janib hi nazar rakhi
Lehaaz ab ijazat do
Meray raastay ki janib ghour se dekho
Woh dekho ik darminda musafir
Meri qurbat kay liye be'chain lagta hai
Tum us ki aankh se tanhai ka Azaar baitha dekh sakty ho
Aur us ki guftagoo mayoos sanaton ka jungle hai
Issay apni smaa'at se bhi shikwa hai
Mujhay is se mohabbat ho gayi hai
No comments:
Post a Comment