Na koi soch lafaz banti hai
koi khwaab yaad rehta hai
Na koi baat guzaray waqton ki
Dil ko dheeray se gud'gudati hai
Na mohabbat sujhai deti hai
Na mohabbat dekhai deti hai
Na mohabbat sunai deti hai
Na koi ashk dil main girta hai
Na koi dard muskurata hai
Aur judai ki her azieat bhi
Ik kitabi si baat lagti hai
Ik ajab si be'kali si rehti hai
Dil ki baton main dil nahin lagta
Shaam ka lams kuch nahin kehta
Chaand raton main dil nahin lagta
Qisa-e-wasal nahin likhtay
Hijar ki baat keh nahin saktay
Ishq se door ho nahin saktay
Ishq ky sath reh nahin saktay
Is tarah be'basi ky aalam main
Sach kahon main to aisay mousam main
Khaas chahera bhi aam lagta hai
Shair kehna bhi kaam lagta hai
No comments:
Post a Comment