Jun 29, 2014

Na sawaal ban kar mila karo , na jawaab ban kar mila karo


Na sawaal ban kar mila karo , na jawaab ban kar mila karo 
Meri zindagi mera khwaab hai mujhe khwaab ban kar mila karo 

Her aik shaam ko mere doston na azaab ban kar mila karo 
Mujhe meh'kaday main milo agar to sharaab ban kar mila karo 

Mujhe achay log bhout mile main to un ky qarz se mar gaya 
Gar ho sake to kabhi kabhi to khraab ban kar mila karo 

Abhi sochna hai to soch lo hamain chorna hai to chor do 
Naye mousam main milo mujhe to gulaab ban kar mila karo 

Na to is tarah se mila karo na to us tarah se mila karo 
Haan hazoor ban ky mila karo haan janaab ban kar mila karo

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...