Nigha-e-yaar pe palkon ki gar lagaam na ho
Badan main door talak zindagi ka naam na ho
Woh be'naqaab jo phirta hai gali koochon main
To kaisay shahaer ky logon main qatl-e-aam na ho
Mujhay yaqeen hai keh duniya main dard barh jayein
Agar yeh peenay pilanay ka ehtamaam na ho
Bitha ky samnay bas dekhta rahoon tujh ko
Teray siwa muh ko duniya ka koi kaam na ho
Jo is ko dekh le mehtaab ik nazar danish
Meray shaher ki fizaon main kabhi shaam na ho
No comments:
Post a Comment