Jun 2, 2014

Taraash kar meray baazu uraan chor gaya


Taraash kar meray baazu uraan chor gaya 
Hawa kay paas bar'hana makan chor gaya 

Rafaqaton ka meri , us ko dhiyaan kitna tha 
Zameen lay li magar aasman chor gaya 

Ajeeb shakhs tha , barish ka rang dekh kay bhi 
Khulay dareechay pe ik phool'daan chor gaya 

Jo badalon se bhi mujh ko chupaye rakhta tha 
Barhi hai dhoop to be'saa'ibaan chor gaya 

Nikal gaya kahin un'dekhaye paniyon ki taraf 
Zameen kay naam khula baad'baan chor gaya 

Uqaab ko thi gharz fakhita pakarnay se
Jo gir gayi to youn hi neem jaan chor gaya 

Na'janay kon sa asaib dil main basta hai 
Keh jo bhi tehra woh aakhir makan chor gaya 

Aqab main gehra samandar hai , samnay jungle
Kis intihaa pe mera meharban chor gaya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...