Pehla sa haal pehli si wehshat nahin rahi
Shayed keh teray hijar ki aadat nahin rahi
Rangon main ik rang teri sadgi ka rang
Aisi hawa chali keh woh rangat nahin rahi
Raahon main ik raah woh ghar loatnay ki raah
Tehrain kisi jaga per woh tabiyat nahin rahi
Namoon main ik naam sawal-e-ashna ky naam
Ab dil pe koi aisi koi ibarat nahin rahi
Raton mai ik raat meray ghar ki chand raat
Angan ko meray us raat ki zaroorat nahin rahi
Zakhmon main ik zakham mata-e-hunar ka zakham
Ab koi arz-o-hurrat nahin rahi
Sanata bolta hai sada mout laga faysal
Awaz to reh gayi hai sama'at nahin rahi
No comments:
Post a Comment