Pehlay pehlay to khwabon ka dam bharne lagti hain
Phir aankhain palkon main chup ky ronay lagti hain
Jaanay tab kiyon suraj ki khwaish kartay hain log
Jab barish main sab deewarain girnay lagti hain
Tasveeron ka rog bhi aakhir kaisa hota hai
Tanhai main baat karo to bolnay lagti hain
Saahil se takranay wali wehshi moujain bhi
Zinda rehnay ki khwaish main marnay lagti hain
Tum kiya jano lafzon ky azaar ki shiddat ko
Yaadain tak sochon ki aag main jalnay lagti hain
No comments:
Post a Comment