Qadar-e-johar hai jo pindaar samait
Mujh ko parkho meray miyaar samait
Roz mangein yeh dua khana badosh
Ghar na ujrein dar-o-dewaar samait
Kitni banjar hui fasal-e-awaz
Shaher chup chaap hai bazaar samait
Kaash logon ki tarah soo-e-chaman
Hum bhi kabhi jayein dildaar samait
Kon karta qad-o-qamat ka hisaab
Ik qayamat tha woh raftaar samait
Jin ki haibat se harasan lashkar
Be'nishan ab hain woh talwaar samait
Bujh jayein kahin aankhein meri
Yaad aa , mishal-e-rukhsaar samait
Khaak urti hui sadiyon se idher
Qaaflay gum huye salaar samait
HAwas-e-dirham-o-dinaar ki khair
Log biknay lagay kirdaar samait
Main keh mohsin hoon shaheed-e-na'moos
Dafan karna mujhay dastaar samait
No comments:
Post a Comment