Jun 2, 2014

Raaston ki marzi hai

Raaston ki marzi hai

be'zameen logon ko
be'qaraar aankhon ko
bad'naseeb qadmon ko 
jis taraf bhi ly jayein
rston ki marzi hai
be'nishaan jazeron par
bad'gumaan shaheron main 
be'zabaan musafir ko
jis taraf bhi bhat'ka dain 
raston ki marzi hai
rok lain ya barhney dain
thaam lain ya girny dain
wasal ki lakeeron ko 
torr dain ya milny dain
raston ki marzi hai
ajnabi koi la kar 
hamsafar bana dalein
sath chalney walon ki
raakh bhi ura dain
ya musaftein sari
khaak main mila dain
raston ki marzi hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...