Jun 28, 2014

Raqas karney ka hukam jo mila dariyaon main


Raqas karney ka hukam jo mila dariyaon main 
Hum ne khush  ho kar bhanwar bandh liya paaon main 

Un ko bhi hai kisi bheegaye huwey manzar ki talaash 
Boondh tak bo na sake jo kabhi sehraon main 

Ay mere hamsafro tum bhi thakay haaray ho 
Dhoop ki tum to milawat na karo chaayon main 

Jo bhi ata hai batata hai naya koi ilaaj 
Batt na jaye tera bi'maar maseehaon main 

Hosla kis main hai yousaf ki kharidaari ka 
Ab to mehangai ky charchay  hain zulaikhaon  main

Woh khuda hai kisi toote huwey dil main ho ga 
Masjadon main ussay dhoondo na kalisaaon main

Hum ko aapas main mohabbat nahin karney detay 
Ik yahi aib hai is shaher ky danaaon main 

Mujh se kartay hain imran is liye kuch log hasad 
Kiyon main shaher main maqbool haseenaon main  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...