Kabhi daman , kabhi palkein bighona kis ko kehtay hain
Kisi mazloom se pocho keh rona kis ko kehtay hain
Rafu karna jissay aata hai apnay dil kay zakhmon ko
Tumhein bat'laye ga seena parona kis ko kehtay hain
Kabhi meri jaga khud ko rakho phir jaan jaao gay
Keh duniya bhar kay dukh dil main samona kis ko kehtay hain
Na khawab awar dawaein kha kay bhi neend aa sakay tum ko
Samjh lo gay keh kaanton ka bichona kis ko kehtay hain
Meri aankhein meray chehray ko ik din ghour se dekho
Magar mat poochna , veeran hona kis ko kehtay hain
Tumhara dil kabhi pighlay agar gham ki haraarat se
Tumhein maloom ho jaye ga rona kis ko kehtay hain
No comments:
Post a Comment