Sakoon kay din, Faraghat ki raat say bhi gay
Tujhy ganwa kay bhari kainaat say bhi gay
Juda hotey thay magar dil kabhi na toota tha
Khafa huey to tere iltafaat sy bhi gay
Chalay to Neel ki gehraiyan theen ankhon mein
Palat kay aaey to mouj-e-Faraat sy bhi gay
Khayal tha k tujhy paa k khud ko dhoonden gy
Tu mil gaya to khud apni zaat se bhi gaey
Bichharr kay khat bhi na likhay udaas yaron ne
Kabhi kabhi ki adhoori si baat say bhi gay
No comments:
Post a Comment