Jun 9, 2014

Sang dil hai woh to kyon us ka gila main ne kiya


Sang dil hai woh to kyon us ka gila main ne kiya 
Jab ke khud pathar ko butt, Butt ko khuda main ne kiya 

Kaisay na'manoos lafzon ki kahani tha woh shaks
Us ko kitni mushkalon se tarjumaan main ne kiya 

Woh meri pehli mohabbat , woh meri pehli shakist
Phir to paimaan-e-wafa so martaba main ne kiya 

Hoon saza war-e-saza kyon jan muqadar main meray 
Jo bhi us jaan-e-jahan ne likh diya , main ne kiya 

Woh teh'harta kyon keh guzara tak nahin jis kay liye
Ghar to ghar her rasta aarasta main ne kiya

Mujh pe apna juram sabat ho na ho lakin faraz 
Log kehtay hain keh us ko be'wafa main ne kiya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...