Jun 20, 2014

Shaam ayi hai Tara tara jaltay bujhtay , khawaab liye


Shaam aayi hai 
Tara tara jaltay bujhtay , khawaab liye 
Phir shaam aayi hai 
Her ik khawaab kay sar'namay par 
Apnay jag mag haath se tu ne 
Meray naam kay harf likhay hain 
Aur meri aankhon ka qariya 
Un ki manzil daj kiya hai 
Lakin pyaaray 
Ab kay phir tu tabeeron ka khana bharna 
Bhool gaya hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...