Ta'aluq toot jaye jab
mohabbat rooth jaye jab
to phir rasm-e-dua kaisi
milan ki iltija kaisi
bhanwar main dolti kashti pe sahil ki taman'na kiya
ukhrartay saans hon to zindagi aarzo bhi kiya
jo manzil kho chuki ho , us ki phir se justagoo bhi kyn
magar dil main tumhain , kis wastay se yaad rakha hai
abhi tak main ne khud ko
bhout barbaad rakha hai
hawa ke dosh par
kyn naghma , fariyaad rakha hai
judai denay wale , aashnai ki qasam tum ko
tumhari be'wafai , kaj adai ki qasam tum ko
mujhay itna bata dena
mujhay itna bata dena
wafa ki
chahaton ki
mish'alain ! kaisay bujhtay hain ?
nishaan kaisay mita'ty hain
bhulana ho jinhain
un ko bhala
kaisay bhulatay hain ???
No comments:
Post a Comment