Jun 4, 2014

Ta'aluq torta hoon to mukamal tor deta hoon


Ta'aluq torta hoon to mukamal tor deta hoon
Jissay main chor deta hoon mukamal chor deta hoon

Mohabbat ho keh nafrat ho bhara rehta hoon shiddat se 
Jidhar se aye yeh dariya Udhar hi mor deta hoon

Yakeen rakha nahin hoon main kisi kachay ta'aluq par 
Jo dhaga tootney wala ho us ko tor deta hoon

Meray dekhay huye sapney kahin murda na ho jaein
Ghronday rait ky tameer kar ky phor deta hoon

Adeem ab tak wohi bachpan wohi takhreeb kari hai
Qafas ko tor deta hoon parinday chor deta hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...