Jun 9, 2014

Tark-e-mohabbat kar baitha hoon , zabt-e-mohabbat aur bhi hain


Tark-e-mohabbat kar baitha hoon , zabt-e-mohabbat aur bhi hain
Ek qayamat beet chuki hai , ek qayamat aur bhi hai

Hum ne usi ky dard se apnay saans ka rishta jor liya
Warna shaher main zinda rehnay ki ek surat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ky kush rehna kis ko raas aya
Din ka dukh seh janay walo , raat ki wehshat aur bhi hai

Sirf ruton ky sath badaltay rehnay par mouqoof nahin
Us main bachon jaisi zid karnay ki aadat aur bhi hai

Meri bheegti palkon par jab us ne dono hath rakhay
Phir yeh bhaid khula in aankhon kikuch qeemat aur bhi hai

Us ko ganwa kar mohsin us ky dard ka qarz chukana hai 
Ek aziyat mand pari hai , ek aziyat aur bhi hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...