Jun 10, 2014

Teri Kushboo ka pata karti hai


Teri kushboo ka pata karti hai
Mujh pe ehsaan hawa karti hai

Shab ki tanhai main ab to aksar 
Guftagoo tujh se raha karti hai 

Dil ko us raah pe chalna hi nahin 
Jo mujhay tujh se juda karti hai 

Zindagi meri thi lakin ab to 
Teray kehnay main raha karti hai 

Us ne dekha hi nahin warna yeh aankh 
Dil ka ehwaal kaha karti hai

Be'niaz-e-kaf-e-dariya ang'gasht 
Rait pe naam likha karti hai 

Shaam partay hi kisi shakhs ki yaad 
Koocha-e-jaan main sada karti hai 

Mujh se bhi us ka hai waisa hi salook 
Haal jo tera , ana karti hai 

Dukh hua karta hai kuch aur bayaan 
Baat kuch aur hua karti hai 

Abar barsay to inayat us ki 
Shaakh to siraf dua karti hai

Masla jab bhi uthay chiraghon ka 
Faisala sirf hawa kari hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...