Jun 29, 2014

Tez jhonka na seh saka patta


Tez jhonka na seh saka patta
Shaakh se toot kar gira patta 

Zard roo se murra turra patta 
Ayi aandhi hua hawa patta 

MAin bhi tha zaib-e-gul hara patta 
Zar-e-paa hai yeh keh raha patta

De sila rabt pairr se rakhna 
Fasl-e-gul ka yeh gham'zada patta 

Be'saharon ki zindagi jaisay 
Pairr ky saaye main para patta

Hum bhi ra'ana thay youn kabhi 
Jaisay gul'zaar ka hara patta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...