Sep 7, 2015

Tishna kaami ki saza do to maza aa jaye


Tishna kaami ki saza do to maza aa jaye
Tum hamein zehar pilo do to maza aa jaye 

Meer-e-mehfil banay baithay hain baray naaz se hum
Hamein mehfil se utha do to maza aa jaye 

Tum ne ehsaan kiya tha jo hamein chaha tha 
Ab woh ehsaan jata do to maza aa jaye 

Apnay Yousaf ko zulekha ki tarah tum bhi kabhi 
Kuch haseeno se mila do to maza aa jaye 

Chain parta hi nahin hai tumhein ab meray baghair 
Ab jo tum mujh ko ganwaa do to maza aa jaye 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...