To ab hum aisa kartay hain
Mohabbat tark kartay hain
Yeh shair-o-shairy ka silsala , yeh pyaar ki batain
Sab hi kuch chor detay hain
Hum apni soch ka . ehsaas ka rukh mor detay hain
Kisi ko be'wafa kehna ,kisi ko kaj-ada likhna
Kabhi apni wafaon ky silay ki arzoo rakhna
Hamesha dil ko chahat kay liye be'abroo rakhna
Kisi aainy , kisi laila , kisi momal ki khatir hum
Kisi sohni , kisi bhi heer ky anchal ki khatir hum
Nahin barbaad hon gy ab
nahin na'shaad hon gy ab
to ab yeh faisala kar lain
Hum apni zeest ki na'kamiyaan tasleem kartay hain
Haqeeqt maan letay hain
Lap'katay , dortay barhtay hamaray paon rapta hai
Idher wicketon ky peechay se koi ungli bhi uthi hai
Hamari umar ki lambi innings ab khatam hoti hai
Sitaray bujh gaye hain ab
Shraray bujh gaye hain ab
Akelay pan ki ab joi nai tadbeer kiya ho gi
Kisi bhi ishq ki paon main zangeer kiya ho gi
sitam parwar bhala
ab aur bhi taqdeer kiya ho gi
to ab hum aisa kartay hain
Hum apni khud kushi ka aap jhud ailaan kartay hain
qalam kaghaz ko dhartay hain
bhout kuch likh liya hum ne
bhout din jee liya hum ne
yeh rishta tor detay hain
sab hi kuch chor detay hain
No comments:
Post a Comment