Jun 27, 2014

Tu bahaar ban ky titli gulaboon ki raah'guzaar main reh


Tu bahaar ban ky titli gulaboon ki raah'guzaar main reh 
Misal moj-e-saba , khaima-e-bahaar main reh 

Agar pasand hon sehra ki chandani raatain 
Tu meray dost dil ki raah'guzar main reh 

Na cheen mujh se rafaqat ki dil'nasheen kushboo 
Meray habeeb meray pyaar ky hisaar main reh 

Na in shareer nighaon ki maan tu ae dil 
Hamara dil hai hamaray hi ikhtiyaar main reh 

Dar band abhi se na kar , dia na bhuja 
Kuch aur dair zara us ky intizaar main reh 

Woh dekh jheel main rehta hai jis tarah mehtaab 
Tu meri jaan, meri chasham-e-ashk'baar main reh

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...