Tum bin jiya jaye kaisay
Kaisay jiya jaye tum bin
Sadiyon se lambi hain raatein
Sadiyon se lambay huwey din
Aa jao loat kar tum
Yeh dil keh raha hai
Phir shaam-e-tanhai jagi
Phir tum yaad aa rahay ho
Phir jaan nikalnay lagi
Phir mujh ko tarpa rahay ho
Is dil main yaadon ky mele hain
Tum bin bhout hum akelay hain
Aa jao loat kar tum
Yeh dil keh raha hai
Kiya kiya na socha tha main ne
Kiya kiya na sapnay sajaye
Kiya kiya na chaha tha dil ne
Kiya kiya na armaan jagaye
IS dil se toofan guzartay hain
Tum bin jeetay na martay hain
Aa jao loat kar tum
Yeh dil keh raha hai
No comments:
Post a Comment