Jun 1, 2014

tum hi meri pasandeeda kitaab ho


Aksar sochti rahi

Main tumhari sab se ziada 

pasandeeda kitaab ki tarah hoon 

jo neend main bhi 

tumharay seenay main khul kar rehti hai

tum mujhay parhtay ho

harf harf samjhtay ho

sparsh kartay ho

main aur bhi gehray utar jati hoon 

tumharay ghar ke

konay konay main dekh jati hoon 

wahan wahan jahan jahan 

tum mujhay dhoondtay rahay 

phir achanak kyn 

seenay main rakhi kitaab ko 

dhairon kitaab ke beech rakh diya

ek baar bhi nahin chaha 

kitaab par jami dhool ko 

hata doon 

ussy usi jaga rakh doon 

thora parh loon 

aur keh doon 

tum hi meri pasandeeda kitaab ho

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...