Jun 3, 2014

Meray hamdam meray sathi tumhain to yaad hi ho ga


Meray hamdam meray sathi
tumhain to yaad hi ho ga
woh din kiya khaas tha 
jab tum meri hast main ayi thi
meri be'rang duniya ko 
tumhari muskurahat ny hazaron rang bakshay thay
issay kaisay sajaya tha tumhain to yaad hi ho ga
tumhain main ne bataya tha
keh main khawabon main rehta hoon magar tum ik haqeeqat ho
mohabbat hi mohabbat ho
phir is ky baad sab mousam , sabhi manzar tumhari aankh se dekhay
tumharay sath jo guzray wohi pal zindagi tehray
tumhain to yaad hi ho ga, mujhay kab yaad rehtatha
mujhay kiya kaam karney hain
mujhay kis kis se milna hai 
kahan jana zaroori hai
khafa koi hai kyn mujh se
kissay ja ky manana hai 
mujhay kab yaad rehta hai
mera mamool to tum thein
tumhi sab yaad rakhti thi
main apney dil ki sab batein faqat tum se hi karta tha
tumhari bhi yeh aadat thi
tumhain to yaad ho ho ga main aksar tum se kehta tha 
abhi is zindagi ke sath kitney roog liptay hain
mujhay tum se mohabbat ki zara fursat nahin milti
zara woh waqat anay do , zara fursat mile mujh ko
bitha ky samney tum ko tumhain jee bhar ky dekhon ga
batayon ga mujhay tum se mohabbat si mohabbat hai
mujhay is dam mili fursat
keh jab yeh baat sun'naney ko nahin tum samny meray
meri jaan tum wahan par ho
jahan se loat kar wapis kabhi koi nahin ata
mera qaraar sun latein 
mera izhaar sun latein
keh ab fursat hi fursat hai
keh ab mamool main meray faqat tum se mohabbat hai
magar yeh bhi haqeeqat hai
keh main takheer se poncha
tumhain janey ki jaldi thi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...