Jun 14, 2014

Ussay anjanay raaston se guzar janay ki khwaish thi


Ussay anjanay raaston se guzar janay ki khwaish thi
Mohabbat main amar honay ki
Mar janay ki khwaish thi
Woh kehta tha keh jeevan tairagi hai 
Uar hamain is tairagi main 
Rang bharnay hain 
Roshni ky 
Yeh hum ko muktasar se 
Chan lamhay jo qismat se muyassar hain 
Yeh lamhay hum dono ko baa'ham 
Mohabbat se abaad karnay hain 
Kisi ko dekhna hai aur 
Kisi se baat karni hai
Jahan yeh din guzar jayein
Wahin pe raat karni hai
Woh kehta tha 
Mohabbat ka koi mousam nahin hota 
Yeh her mousam ky jazbay hain 
Kabhi bhi kam nahin hotay
Adhoori se mohabbat hai 
Hamain takmeel kari hai
Mohabbat ko naye dhab se 
Basar karnay ki khwaish thi 
Usay shab bhar jagati hai
Na janay kon si chahat 
Ussay her pal rulati hai 
Shnasa tha magar
Her aik se anjaan rehta tha 
Bhout aadat thi lakin 
Sada veeraan rehta tha 
Ussay her shakhs ko 
Hairaan kar janay ki khwaish thi 
Mohabbat main amar honay ki 
Mar janay ki khwaish thi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...