Ussay apnay farda ki fikar thi , woh jo mera waqif-e-haal tha
Woh jo us ki subha-e-urooj thi , woh hi mera waqat-e-zawaal tha
Mera dard woh kaisay janta ,meri baat woh kaisay manta
Woh to khud fanaa ky safar main tha ussay rokna bhi mohaal tha
Kahan jayo gy mujhay chor kar main yeh pooch pooch ky thak gaya
Woh jawaab mujh ko de na saka Woh to khud srapa-e-sawaal tha
Woh jo us ky samnay aa gaya woh hi roshni main naha gaya
Ajeeb us ki haibat-e-husan thi ajab us ka rang.. jamaal tha
Dam wapsi ussay kiya hua na woh roshni na woh tazgi
Woh sitara kaisay bikhar gaya woh khud aap apni misaal tha
Woh mila to sadiyon ky baad bhi meray lab pe koi gila na tha
Ussay meri chup ne rula diya jissay guftagoo main kamaal tha
Meray sath woh lag ky ro diya , mujhay fakhri woh itna keh saka
Jissay janta tha main zindagi woh to siraf weham-o-khyaal tha
Poet : Zahid fakhri
No comments:
Post a Comment