Jun 24, 2014

Woh aks ban ky meri chashm-e-tar main rehta hai


Woh aks ban ky meri chashm-e-tar main rehta hai 
Ajeeb shakhs hai pani ky ghar main rehta hai 

Wohi to meri sahb-e-gham ka aik payambar hai 
Woh ail sitara jo chashm-e-sehar main rehta hai 

Jo meray honton pe aye to gun'gunaon ussay 
Woh shair ban ky biyaaz-e-nazar main rehta hai 

Guzarta waqat mera gham gusaar kiya ho ga 
Woh khud ta'aqub shaam-o-sehar main rehta hai 

Mera hi roop hai tu ghour se agar dekhy 
Bagoola sa jo teri raah guzar main rehta hai 

Na janay kon hai jis ki talaash main bismal 
Her ik saans mera ab safar main rehta hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...