Woh ana parast sahi us ki baaton main iqraar bhi tha
Us ky chubtay huwey lehjay main chupa piyaar bhi tha
Woh mujhay likhta tha muntazir na rehna lakin
Us ki tehreer main sadiyon ka intizaar bhi tha
Woh kehta hai keh mat rootho keh manana nahin ata
Meri narazgi pe lakin woh be'qaraar bhi tha
Woh shayed phir na likhta ussay apni khabar lakin
Dosti ka bharam rakhna tah , kuch dil be'ikhtiyaar bhi tha
Shayed yahi us ka andaaz-e-mohabbat ho faysal
Woh mera humdam bhi tha sitam sha'aar bhi tha
No comments:
Post a Comment