Woh gaye to sath hi le gaye sabhi rang utaar ky shaher ka
Koi shakhs tha mere shaher main kisi door paar ke shaher ky
Chalo koi dil to udaas tha , chalo koi aankh to nam rahi
Chalo koi dar to khulla raha shab-e-intizaar ky shaher ka
Yeh jo main ne taza ghazal kahi , so hai nazar ehal-e-firaaq ki
Keh na mil saka koi nama bar mujhay mere yaar ky shaher ka
So mataa-e-jaan ko liye huwey palat aye tere garifta dil
Kaisay baichtay keh mila nahin koi aitabaar ke shaher ka
Mere tarza-e-naghma srai se koi baagbaan bhi to khush nahin
Yeh mera mizaaj hai kiya karoon keh hoon main bahaar ky shaher ka
Kisi aur dais ki aur ko suna hai "Imran" chala gaya
Sabhi dukh samit ky shaher ka sabhi qarz utaar ky shaher ka
No comments:
Post a Comment