Woh jazbay cheen lo mujh se..........
Jo meray ang , meri rooh , meray dil main bastay hain
Jinhein khud main samonay kay liye seenay tarastay hain
Woh lamhay cheen lo mujh se...........
Jo meray zehan ki tareekiyon main shammein roshan hain
Meri khilwat ki khushbu hain , meri yaadon kay gulshan hain
Woh chehray cheen lo mujh se ..............
Jo khaal-o-khad nahin ab aainay hain meri seerat kay
Jo her pehlu se aks-e-zu'fishan hain meri surat kay
Woh rishtay cheen lo mujh se............
Jo meray zehan-o-dil main roshni kay beej botay hain
Jo rag rag main lahu ki chaap se mansoob hotay hain
Woh aankhein cheen lo mujh se ..........
Jo meri rooh ka noha hain , meri zaat ka lehja
Jahan dhalta hai aaino main ehsa'saat ka lehja
Woh sapnay cheen lo mujh se ..........
Jo in veeran aankhon main abhi tak jag'magatay hain
Abhi tak saans letay hain , abhi tak muskuratay hain
Woh sab kuch cheen lo mujh se.......
Magar ae zalamo, mujh se mera ehsaas mat cheeno
Talab ki aas mat cheeno
Jo meray zabt ki pehchaan hai , woh pyaas mat cheeno
Mera ehsaas mat cheeno
No comments:
Post a Comment