Jun 25, 2014

Woh to kushboo hai hawaon main bikhar jaye ga


Woh to kushboo hai hawaon main bikhar jaye ga 
Masla phool ka hai phool kidhar jaye ga 

Hum to samjhay thay ik zakham hai bhar jaye ga 
Kiya khabar thi keh rag-e-jaan main utar jaye ga 

Woh hawaon ki tarah khana bajaan phirta hai 
Aik jhonka hai jo aye ga guzar jaye ga 

Woh jab aye ga to phir is ki rafaqat kay liye 
Mousam-e-gul meray aangan main tehar jaye ga 

Aakhrish woh bhi kahin rait pe baithi ho gi 
Tera yeh pyaar bhi dariya hai utar jaye ga 

Mujh ko tehzeeb ky barzakh ka banaya waris
Juram yeh bhi meray ajdaad ky sar jaye ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...