Jun 7, 2014

Ya rab dil-e-mslim ko , woh zinda tamana de


Ya rab dil-e-mslim ko , woh zinda tamana de
Jo qalab ko garma de , jo rooh ko tarpa de

Phir wadi-e-faraan ky her zarre ko chmka de 
Phir shouq-e-tamasha de , phir zoq-e-tamana de

Mehrrom-e-tamasha ko , phir deeda-e-beena de
Dekha hai jo kuch main ne auron ko bhi dikhla de

Bhatakti hui aahaon ko , phir soo-e-haram le chal
uss shahaer ky khoogar ko phir wusat-e-sehra de

Paida dil-e-veeran main , phir shoorish mehshar kar 
Is mehmal-e-khali ko , phir shahid -e-laila de

Is daur ki zulmat main , her qalb-e-parishaan ko
Woh daagh-e-mohabbat de , jo chaand ko shrma de

Raf'ath main maqasad ko , hamdosh-e-suriyya kar
khuddari-e-sahil de , azaadi-e-dariya de

Be'lous-e-mohabbat ho , be'baak sdaaqat ho
Seenon main ujala kar , dil surat-e-meena de

Ehsaas inayat kar asar-e-musibat ka
imroz ki shorish main andesha-e-farda de

Main bul'bul-e-nadaan hoon , ik ujray gulistaan ki
taseer ka saa'il hoon mohtaaj ko daataa de

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...