Jun 9, 2014

Yaad ata hai roz-o-shab koi


Yaad ata hai roz-o-shab koi
Hum se rootha hai be'sabab koi

Lab-e-joo chayon main drakhton ki
Woh mulaqaat thi ajab koi

JAb tujhay pehli baar dekha tha 
Woh bhi tha mousam-e-tarab koi

Kuch khabar ly ky teri mehfil se
Door baitha hai jaan ba lab koi

Na gham-e-zindagi na na dard-e-firaaq
Dil main youn hi si talab hai koi

Yaad ati hain door ki batain 
Pyaar se dekhta hai jab koi

Jin ko mitna tha mit chukay nasir
Un ko ruwa  karay na ab koi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...