Yeh jo qurbaton ka khumaar hai
Meray ajnabi , meray Aashna !
Tu masar keh aaina khanay main
Teray khaal-o-khad kay siwa mujhay
Kahin aur kuch na dikhaai de
Yeh azaab toq-o-risan mera
Kisi qasar khawab-o-khayal tak
Meray zehan ko na risaai de
Mujhay raasta na sujhaai de
To yeh chatt jo apnay saron pe hai
Yeh jo baam-o-dar kay hisaar hain
Yeh jo rat'jagon ki bahaar hai
Yeh jo qurbaton ka khumaar hai
To isi pe kya shab-e-umar ki sabhi raahaton ka madaar hai ?
Meray ajnabi , meray Aashna !
Keh dhuwan dhuwan si jo hai fiza
yeh thami thami si jo hai hawa
Yeh jo shor hai dil-e-zaar ka
KAbhi is pe ghour kiya hai kya ?
Meray ajnabi , meray Aashna !
Kabhi kaash tujh se main keh sakoon ....
Keh yeh sa'atein hain khathan bhout
Meray zakham-e-jaan kay tabeeb aa
Meray tan badan se bhi rabt rakh
Meri rooh kay bhi qareeb aa
Meray ajnabi , meray Aashna !
No comments:
Post a Comment