Jun 2, 2014

Youn koi chor diya karta hai apna kar ky


Youn koi chor diya karta hai apna kar ky
tum ne to maar diya hai mujhay tanha kar ky

aik nazar daal kabhi  meray maseeha mujh par
tera kiya jaye ga bemaar ko acha kar ky

Ae mohabbat ky mrahail se guzarney wale
tu ne ansoo kabhi dekha hai sitara kar ky

main bhout jald tumhain bhanwar main yaad ayon ga
itna kush baash na reh mujh se kinara kar ky

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...