Jun 18, 2014

Zaahir kisi surat bhi kahin naam na karna


Zaahir kisi surat bhi kahin naam na karna
Hain log bhout khaas hamain aam na karna

Janay ki ijazat to diya detay hain lakin
Rastay main kahin atay huywe shaam na karna

Kuch roz se yeh haal hai furqat main tumhari
Be'kaar paray rehna koi kaam na karna

Hum bhi na dikhaein sar-e-raah giribaan 
Tum bhi meray wadon ko sar-e-aam na karna

Is shart pe hai tark-e-taaluq ki ijazat 
Bad'zamanay main mera naam na karna

Yadon ka nasha hosh urra deta hai arshad 
Saaqi se kaho samnay ab jaam na karna

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...