Jun 11, 2014

Zindagi ki rahoon main rang-o-gham ky melay hain


Zindagi ki rahoon main rang-o-gham ky melay hain 
Chaar soo andheray hain  un'ginat jhamailay hain 

Kashtiyaan hain kaaghaz ki barish ka mousam  hai 
Andhiyon ky jhakar main paniyon ky railay hain 

Dard ka samundar hai mohabbaton ki baazi main 
Ghamon ki rawani main dard kitnay jhailay hain 

Tum bin adhoori hai zindagi do pal ki hai
Anso'on ky dariya main kis qadar akelay hain 

Na tamaam raston main dushmano ke pehray hain 
Be'wafa zamanay ne khail kaisay khailay hain 

Kis ko maan lain apna ksi se dushmani rakhein 
Is be'basi main gham be'shumaar jhailay hain 


Baat aik lamhay ki hai waqat kab muyassar hai 
Khwaishein hazaron hain hath meray phailay hain 

Aa ky tum hi rakh jayo dil pe hath shoukat keh 
Door reh ky baton se dil kis ky behlay hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...